misl-e-baad-e-saba tere kuche mein ai jaan-e-jaan aae hain
misl-e-bād-e-sabā tere kūche meñ ai jān-e-jāñ aa.e haiñ
chand saa.at raheñge chale jā.eñge sar-garāñ aa.e haiñ
shām-e-āzurdagī ke satā.e hue choT khaa.e hue
mehrbāñ ho ke mil ham bahut aaj nā-shādmāñ aa.e haiñ
ishq karnā jo sīkhā to duniyā baratne kā fan aa gayā
kārobār-e-junūñ aa gayā hai to kār-e-jahāñ aa.e haiñ
zaḳhm khulne lage phir ubharne lagīñ dil kī mahrūmiyāñ
yaad phir tere andāz-e-dildārī-e-jism-o-jāñ aa.e haiñ
dāstān-e-shab-e-hijr un ko sunāne kā din ye nahīñ
mahfil-e-ishq meñ aaj hī to vo kuchh mehrbāñ aa.e haiñ
misl-e-baad-e-saba tere kuche mein ai jaan-e-jaan aae hain
chand saat rahenge chale jaenge sar-garan aae hain
sham-e-azurdagi ke satae hue choT khae hue
mehrban ho ke mil hum bahut aaj na-shadman aae hain
ishq karna jo sikha to duniya baratne ka fan aa gaya
karobar-e-junun aa gaya hai to kar-e-jahan aae hain
zaKHm khulne lage phir ubharne lagin dil ki mahrumiyan
yaad phir tere andaz-e-dildari-e-jism-o-jaan aae hain
dastan-e-shab-e-hijr un ko sunane ka din ye nahin
mahfil-e-ishq mein aaj hi to wo kuchh mehrban aae hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.