Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

misl-e-bulbul zamzamon ka KHud yahan ek rang hai

Akbar Allahabadi

misl-e-bulbul zamzamon ka KHud yahan ek rang hai

Akbar Allahabadi

MORE BYAkbar Allahabadi

    misl-e-bulbul zamzamoñ ḳhud yahāñ ik rang hai

    arġhanūñ is anjuman meñ ḳhārij-az-āhang hai

    har ḳhayāl apnā hai yaañ ik mutrib-e-shīrīñ-navā

    har nafas siine meñ ik mauj-e-sadā-e-chang hai

    har tasavvur hai mirā 'aks-e-jamāl-e-rū-e-dost

    merā har majmū’a-e-vahm ik gul-e-ḳhush-rang hai

    lauh-e-dil har jumbish-e-mizhgāñ se hai mā'nī-pazīr

    har rag-e-andesha naqsh-e-ḳhāma-e-arzhang hai

    'aks terā paḌ ke is meñ ho gayā pākīza-tar

    ai but-e-kāfir mirī āñkhoñ meñ faiz-e-gang hai

    nazm-e-'akbar' se balāġhat siikh leñ arbāb-e-‘ishq

    istilāhāt-e-junūñ meñ be-bahā farhang hai

    misl-e-bulbul zamzamon ka KHud yahan ek rang hai

    arghanun is anjuman mein KHarij-az-ahang hai

    har KHayal apna hai yan ek mutrib-e-shirin-nawa

    har nafas sine mein ek mauj-e-sada-e-chang hai

    har tasawwur hai mera 'aks-e-jamal-e-ru-e-dost

    mera har majmu’a-e-wahm ek gul-e-KHush-rang hai

    lauh-e-dil har jumbish-e-mizhgan se hai ma'ni-pazir

    har rag-e-andesha naqsh-e-KHama-e-arzhang hai

    'aks tera paD ke is mein ho gaya pakiza-tar

    ai but-e-kafir meri aankhon mein faiz-e-gang hai

    nazm-e-'akbar' se balaghat sikh len arbab-e-‘ishq

    istilahat-e-junun mein be-baha farhang hai

    Source :
    • Book : ہنگامہ ہے کیوں برپا (Pg. 56)
    • Author : اکبر الہ آبادی
    • Publication : ریختہ بکس (2023)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now