misl-e-gul khil ki ye ghuncha-dahani KHub nahin
misl-e-gul khil ki ye ghuncha-dahani KHub nahin
Chandu Lal Bahadur Shadan
MORE BYChandu Lal Bahadur Shadan
misl-e-gul khil ki ye ġhuncha-dahanī ḳhuub nahīñ
baat kar ham se bhī kuchh kam-suḳhanī ḳhuub nahīñ
gul bikhar jā.eñge sumbul kī tarah gulshan meñ
tez mat chaliyo nasīm-e-chamanī ḳhuub nahīñ
la.al-o-gauhar se bharā ḳhud hai sarāpā terā
ḳhvāhish-e-la.al-o-aqīq-e-yamanī ḳhuub nahīñ
pur-samar shāḳh ko hai sar kā jhukānā achchhā
chhoḌ de apne se ye mā-o-manī ḳhuub nahīñ
terā mushtāq hai 'shādāñ' ye sunā hai tū ne
aa mil ab dil se ki ye dil-shikanī ḳhuub nahīñ
misl-e-gul khil ki ye ghuncha-dahani KHub nahin
baat kar hum se bhi kuchh kam-suKHani KHub nahin
gul bikhar jaenge sumbul ki tarah gulshan mein
tez mat chaliyo nasim-e-chamani KHub nahin
lal-o-gauhar se bhara KHud hai sarapa tera
KHwahish-e-lal-o-aqiq-e-yamani KHub nahin
pur-samar shaKH ko hai sar ka jhukana achchha
chhoD de apne se ye ma-o-mani KHub nahin
tera mushtaq hai 'shadan' ye suna hai tu ne
aa mil ab dil se ki ye dil-shikani KHub nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.