misl-e-namrud har ek shaKHs KHudai mange
misl-e-namrūd har ik shaḳhs ḳhudā.ī māñge
dil vo pāgal hai ki ḳhilqat kī bhalā.ī māñge
ham haiñ mujrim to adālat meñ bulāyā hotā
bol sakte haiñ agar koī safā.ī māñge
kitnī sarkash hai tamannā ki huzūrī chāhe
kitnā bebāk hai naala ki rasā.ī māñge
shauq chāhe ki abhī aur bagūle uTTheñ
vus.at-e-dasht mirī ābla-pā.ī māñge
koī tamkīñ koī taskīñ koī tahsīñ chāhe
ek 'munzir' hai ki āshufta-navā.ī māñge
misl-e-namrud har ek shaKHs KHudai mange
dil wo pagal hai ki KHilqat ki bhalai mange
hum hain mujrim to adalat mein bulaya hota
bol sakte hain agar koi safai mange
kitni sarkash hai tamanna ki huzuri chahe
kitna bebak hai nala ki rasai mange
shauq chahe ki abhi aur bagule uTThen
wusat-e-dasht meri aabla-pai mange
koi tamkin koi taskin koi tahsin chahe
ek 'munzir' hai ki aashufta-nawai mange
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.