mismar shabon ke dukh uThaun
mismār shaboñ ke dukh uThā.ūñ
āñkhoñ ke bām-o-dar jalā.ūñ
chehra hai kis kā isti.āra
lahje meñ kisī ke dhuup chhāñv
aayā hai shaguft-e-gul kā mausam
mahkegā kam-az-kam ab ke gaañv
saa.e se lipaT ke ro paḌā maiñ
TuuTe haiñ ye kis ke haath paañv
kal tum ne kahā thā saath doge
is baat ko kaise bhuul jā.ūñ
khaa.ī hai idhar udhar hai daldal
kis or maiñ ab qadam baḌhā.ūñ
mismar shabon ke dukh uThaun
aankhon ke baam-o-dar jalaun
chehra hai kis ka istiara
lahje mein kisi ke dhup chhanw
aaya hai shaguft-e-gul ka mausam
mahkega kam-az-kam ab ke ganw
sae se lipaT ke ro paDa main
TuTe hain ye kis ke hath panw
kal tum ne kaha tha sath doge
is baat ko kaise bhul jaun
khai hai idhar udhar hai daldal
kis or main ab qadam baDhaun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.