misre ke wast mein khaDa hun
misre ke vast meñ khaḌā huuñ
shāyad maiñ andhā ho gayā huuñ
so.e hue biij jaag jaa.eñ
khetoñ meñ ashk bo rahā huuñ
dahlīz ke paas se kisī ke
pheñke hue ḳhvāb chun rahā huuñ
bistar meñ raat so rahī hai
maiñ tere huzūr jāgtā huuñ
saarī murda mohabbatoñ ko
hairat se chhū ke dekhtā huuñ
TuuTī huī raqam kī tarah se
bekār meñ ḳharch ho gayā huuñ
bhūlā huuñ samundaroñ pe chalnā
galiyoñ meñ Dūbne lagā huuñ
talvār pe naqsh khod kar kyā
qātil se daad chāhtā huuñ
bahrūp badal liyā hai tū ne
maiñ bhī to tamāshā ban gayā huuñ
misre ke wast mein khaDa hun
shayad main andha ho gaya hun
soe hue bij jag jaen
kheton mein ashk bo raha hun
dahliz ke pas se kisi ke
phenke hue KHwab chun raha hun
bistar mein raat so rahi hai
main tere huzur jagta hun
sari murda mohabbaton ko
hairat se chhu ke dekhta hun
TuTi hui raqam ki tarah se
bekar mein KHarch ho gaya hun
bhula hun samundaron pe chalna
galiyon mein Dubne laga hun
talwar pe naqsh khod kar kya
qatil se dad chahta hun
bahrup badal liya hai tu ne
main bhi to tamasha ban gaya hun
- Book : Tamasha (Pg. 198)
- Author : Hassan Shahnawaz Zaidi
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.