Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

misre pe un ke misra-e-qad ka guman hua

Munshi Khairati Laal Shagufta

misre pe un ke misra-e-qad ka guman hua

Munshi Khairati Laal Shagufta

MORE BYMunshi Khairati Laal Shagufta

    misre pe un ke misra-e-qad gumāñ huā

    ik tabqa bait tabaq-e-āsmāñ huā

    chuntā hai apnī jubbe par afshān-o-mehr-vash

    gurdoñ ko shauq-e-parvarish-e-kahkashāñ huā

    khīñchā jo dushmanī se garebāñ ko dost ne

    dāmān-e-ishtiyāq mirā dhajjiyāñ huā

    ghūreñge kyā guloñ ko gulistān-e-dahr meñ

    ruḳhsat huī bahār nuzūl-e-ḳhizāñ huā

    dikhlā.eñge bahār kalām-e-fasīh

    gar dahr meñ 'shagufta' koī qadr-dāñ huā

    misre pe un ke misra-e-qad ka guman hua

    ek tabqa bait ka tabaq-e-asman hua

    chunta hai apni jubbe par afshan-o-mehr-wash

    gurdon ko shauq-e-parwarish-e-kahkashan hua

    khincha jo dushmani se gareban ko dost ne

    daman-e-ishtiyaq mera dhajjiyan hua

    ghurenge kya gulon ko gulistan-e-dahr mein

    ruKHsat hui bahaar nuzul-e-KHizan hua

    dikhlaenge bahaar kalam-e-fasih ki

    gar dahr mein 'shagufta' koi qadr-dan hua

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now