miT gae naqsh sabhi dil ke dikhaun kaise
miT ga.e naqsh sabhī dil ke dikhā.ūñ kaise
ek bhūlā huā qissa maiñ sunā.ūñ kaise
jā chukā hai jo sabhī toḌ ke rishte mujh se
sochtā huuñ use āvāz lagā.ūñ kaise
ahmiyat dil kī yahāñ log samajhte hī nahīñ
un ko is baat kā ehsās dilā.ūñ kaise
tishnagī us kī bulātī hai ishāroñ se mujhe
maiñ samundar kī bhalā pyaas bujhā.ūñ kaise
pyaar kā koī talabgār nahīñ duniyā meñ
is ḳhazāne ko maiñ 'santosh' luTā.ūñ kaise
miT gae naqsh sabhi dil ke dikhaun kaise
ek bhula hua qissa main sunaun kaise
ja chuka hai jo sabhi toD ke rishte mujh se
sochta hun use aawaz lagaun kaise
ahmiyat dil ki yahan log samajhte hi nahin
un ko is baat ka ehsas dilaun kaise
tishnagi us ki bulati hai ishaaron se mujhe
main samundar ki bhala pyas bujhaun kaise
pyar ka koi talabgar nahin duniya mein
is KHazane ko main 'santosh' luTaun kaise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.