miT kar bhi gham-e-dost mein aaram na aaya
miT kar bhī ġham-e-dost meñ ārām na aaya
had ho ga.ī marnā bhī mire kaam na aaya
ushshāq kī qismat ko burā kahtī hai duniyā
sad-shukr ki tum par koī ilzām na aaya
har-chand baġhāvat pe ubhārā ġham-e-dil ne
lekin mire hoñToñ pe tirā naam na aaya
is meñ bhī koī maslahat-e-pīr-e-muġhāñ thī
mahfil meñ jidhar ham the udhar jaam na aaya
kyā ho gayā allāh mirā jazb-e-mohabbat
muddat se koī dost kā paiġhām na aaya
tartīb diyā jis ne mohabbat kā fasāna
us kā hī fasāne meñ kahīñ naam na aaya
'raunaq' nahīñ mahfil meñ tirī raunaq-e-mahfil
kyā baat hai kyoñ aaj vo nākām na aaya
miT kar bhi gham-e-dost mein aaram na aaya
had ho gai marna bhi mere kaam na aaya
ushshaq ki qismat ko bura kahti hai duniya
sad-shukr ki tum par koi ilzam na aaya
har-chand baghawat pe ubhaara gham-e-dil ne
lekin mere honTon pe tera nam na aaya
is mein bhi koi maslahat-e-pir-e-mughan thi
mahfil mein jidhar hum the udhar jam na aaya
kya ho gaya allah mera jazb-e-mohabbat
muddat se koi dost ka paigham na aaya
tartib diya jis ne mohabbat ka fasana
us ka hi fasane mein kahin nam na aaya
'raunaq' nahin mahfil mein teri raunaq-e-mahfil
kya baat hai kyon aaj wo nakaam na aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.