miTa chuka rah-e-ulfat mein zindagani ko
miTā chukā rah-e-ulfat meñ zindagānī ko
zamāna ab to sunegā mirī kahānī ko
nazar na aayā sukūñ kā kahīñ koī lamha
bahut qarīb se dekhā hai zindagānī ko
sunegā kaun kise hogī is qadar fursat
tavīl kar to rahe ho mirī kahānī ko
vo mast mast nigāheñ asar jamā hī ga.iiñ
alag sharāb se kartā rahā maiñ paanī ko
kabhī to un kī tavajjoh mirī taraf hogī
hazār baar maiñ dohrā.ūñgā kahānī ko
tire ḳhayāl se ġhāfil kahīñ na ho jā.ūñ
maiñ chhūte Dartā huuñ ab jām-e-arġhavānī ko
hayāt-e-nau jise baḳhshī thī 'nūr' maiñ ne kabhī
miTā rahā hai vahī merī zindagānī ko
miTa chuka rah-e-ulfat mein zindagani ko
zamana ab to sunega meri kahani ko
nazar na aaya sukun ka kahin koi lamha
bahut qarib se dekha hai zindagani ko
sunega kaun kise hogi is qadar fursat
tawil kar to rahe ho meri kahani ko
wo mast mast nigahen asar jama hi gain
alag sharab se karta raha main pani ko
kabhi to un ki tawajjoh meri taraf hogi
hazar bar main dohraunga kahani ko
tere KHayal se ghafil kahin na ho jaun
main chhute Darta hun ab jam-e-arghawani ko
hayat-e-nau jise baKHshi thi 'nur' main ne kabhi
miTa raha hai wahi meri zindagani ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.