miTa kar aaj mujhko un ke armanon ki ban aai
miTā kar aaj mujh ko un ke armānoñ kī ban aa.ī
milī surḳhī mire ḳhuuñ kī to afsānoñ kī ban aa.ī
hamārī sāda-lauhī ne hameñ barbād kar Daalā
dilā kar ḳhauf rahzan kā nigahbānoñ kī ban aa.ī
jidhar dekho udhar haiñ chāk-dāmānī ke nazzāre
gulistāñ meñ bahār aate hī dīvānoñ kī ban aa.ī
mohabbat kī qasam ek ek zarra aaj dushman hai
nazar apnoñ ne kyā pherī ki begānoñ kī ban aa.ī
koī pī kar huā badmast koī rah gayā tishna
jo saaqī ne zarā shah dī to paimānoñ kī ban aa.ī
nizām-e-nau kī is jamhūr-sāmānī kā kyā kahnā
rahe ham ḳhāna-vīrāñ aur aivānoñ kī ban aa.ī
kuchh is andāz se hālāt ne liiñ karvaTeñ 'muslim'
ba-nām-e-gañg-o-kausar fitna-sāmānoñ kī ban aa.ī
miTa kar aaj mujh ko un ke armanon ki ban aai
mili surKHi mere KHun ki to afsanon ki ban aai
hamari sada-lauhi ne hamein barbaad kar Dala
dila kar KHauf rahzan ka nigahbanon ki ban aai
jidhar dekho udhar hain chaak-damani ke nazzare
gulistan mein bahaar aate hi diwanon ki ban aai
mohabbat ki qasam ek ek zarra aaj dushman hai
nazar apnon ne kya pheri ki beganon ki ban aai
koi pi kar hua badmast koi rah gaya tishna
jo saqi ne zara shah di to paimanon ki ban aai
nizam-e-nau ki is jamhur-samani ka kya kahna
rahe hum KHana-viran aur aiwanon ki ban aai
kuchh is andaz se haalat ne lin karwaTen 'muslim'
ba-nam-e-gang-o-kausar fitna-samanon ki ban aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.