miTega kab teri zulfon ka KHam KHuda jaane
miTegā kab tirī zulfoñ kā ḳham ḳhudā jaane
khulegā kab tirā zālim bharam ḳhudā jaane
yahāñ to paatā huuñ har ik ko tishna-lab saaqī
kidhar baḌhā tirā dast-e-karam ḳhudā jaane
vahī tashaddud-e-gulchīñ vahī ġham-e-sayyād
qafas meñ haiñ ki nasheman meñ ham ḳhudā jaane
vo rāz-e-ġham jise dil meñ chhupā ke rakkhā thā
kahāñ se pā ga.ī ye chashm-e-nam ḳhudā jaane
zarūr vaj.h-e-kashākash hai kuchh na kuchh ai dost
badal gayā hai koī tum ki ham ḳhudā jaane
nigāh-e-shauq meñ 'muslim' na dair hai na haram
kahāñ raheñge hamāre qadam ḳhudā jaane
miTega kab teri zulfon ka KHam KHuda jaane
khulega kab tera zalim bharam KHuda jaane
yahan to pata hun har ek ko tishna-lab saqi
kidhar baDha tera dast-e-karam KHuda jaane
wahi tashaddud-e-gulchin wahi gham-e-sayyaad
qafas mein hain ki nasheman mein hum KHuda jaane
wo raaz-e-gham jise dil mein chhupa ke rakkha tha
kahan se pa gai ye chashm-e-nam KHuda jaane
zarur wajh-e-kashakash hai kuchh na kuchh ai dost
badal gaya hai koi tum ki hum KHuda jaane
nigah-e-shauq mein 'muslim' na dair hai na haram
kahan rahenge hamare qadam KHuda jaane
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.