miTi hazar tamanna ek aarzu ke liye
miTi hazar tamanna ek aarzu ke liye
Munshi Banwari Lal Shola
MORE BYMunshi Banwari Lal Shola
miTī hazār tamanna ik aarzū ke liye
milā huuñ ḳhaak meñ duniyā kī aabrū ke liye
hazār chāhiyeñ dil ek aarzū ke liye
dimāġh lā.ūñ kahāñ se tumhārī bū ke liye
tumhāre dekhne vaale khaḌe haiñ chaar taraf
kidhar ko pheroge muñh ḳhātir-e-adū ke liye
uThā.ī jaatī haiñ tul tul ke teġh hāthoñ meñ
chhaTā.e jaate haiñ ḳhanjar mire gulū ke liye
ḳhumār-e-hastī-e-nā-pā.edār dekh chukā
chalā huuñ josh meñ phir sāġhar-o-subū ke liye
vo haath kyā hai jo pāband-e-jeb-o-dāmāñ ho
vo paañv kyā jo na ho terī justujū ke liye
khulī na zulf pe kuchh bhī mirī pareshānī
banā hazār zabāñ arz-e-mū-ba-mū ke liye
milā hai nutq-e-zabāñ ko ki terā zikr kare
zabāñ dahan ko milī terī guftugū ke liye
banā rahī hai nasīm-e-bahār marham-e-zaḳhm
sulajh rahe haiñ rag-e-gul mire rafū ke liye
banā gayā hameñ dīvāna ik but-e-vahshī
junūñ hai 'sho.ala' kisī shauq-e-tund-ḳhū ke liye
miTi hazar tamanna ek aarzu ke liye
mila hun KHak mein duniya ki aabru ke liye
hazar chahiyen dil ek aarzu ke liye
dimagh laun kahan se tumhaari bu ke liye
tumhaare dekhne wale khaDe hain chaar taraf
kidhar ko pheroge munh KHatir-e-adu ke liye
uThai jati hain tul tul ke tegh hathon mein
chhaTae jate hain KHanjar mere gulu ke liye
KHumar-e-hasti-e-na-paedar dekh chuka
chala hun josh mein phir saghar-o-subu ke liye
wo hath kya hai jo paband-e-jeb-o-daman ho
wo panw kya jo na ho teri justuju ke liye
khuli na zulf pe kuchh bhi meri pareshani
bana hazar zaban arz-e-mu-ba-mu ke liye
mila hai nutq-e-zaban ko ki tera zikr kare
zaban dahan ko mili teri guftugu ke liye
bana rahi hai nasim-e-bahaar marham-e-zaKHm
sulajh rahe hain rag-e-gul mere rafu ke liye
bana gaya hamein diwana ek but-e-wahshi
junun hai 'shoala' kisi shauq-e-tund-KHu ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.