Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

miTi miTi hui yaadon ke dagh kya jalte?

Sufi Ghulam Mustafa Tabassum

miTi miTi hui yaadon ke dagh kya jalte?

Sufi Ghulam Mustafa Tabassum

MORE BYSufi Ghulam Mustafa Tabassum

    miTī miTī huī yādoñ ke daaġh kyā jalte?

    na thī sharāb meñ garmī ayāġh kyā jalte?

    fasurda ho ga.e sehn-e-chaman ke parvāne

    milā na ātish-e-gul surāġh kyā jalte?

    dabe dabe rahe siine maiñ aarzū ke daaġh

    tumhāre husn ke aage charāġh kyā jalte?

    bahār meñ bhī jigar-sozī-e-bahār na thī

    ye koh o dasht o chaman bāġh-o-rāġh kyā jalte?

    jalan bahut thī ġham-e-zindagī ke sho.aloñ meñ

    bahut fasurda the sāhib-farāġh kyā jalte?

    vafā se ahl-e-havas ko surūr kyā miltā?

    ḳhirad-faroz the ye be-dimāġh kyā jalte?

    miTi miTi hui yaadon ke dagh kya jalte?

    na thi sharab mein garmi ayagh kya jalte?

    fasurda ho gae sehn-e-chaman ke parwane

    mila na aatish-e-gul ka suragh kya jalte?

    dabe dabe rahe sine main aarzu ke dagh

    tumhaare husn ke aage charagh kya jalte?

    bahaar mein bhi jigar-sozi-e-bahaar na thi

    ye koh o dasht o chaman bagh-o-ragh kya jalte?

    jalan bahut thi gham-e-zindagi ke shoalon mein

    bahut fasurda the sahib-faragh kya jalte?

    wafa se ahl-e-hawas ko surur kya milta?

    KHirad-faroz the ye be-dimagh kya jalte?

    Source :
    • Book : (Sau Baar Chaman Mahka)Kulliyat-e- Sufi Tabassum (Pg. 220)
    • Author : Sufi Ghulam Mustafa Tabassum
    • Publication : Alhamd Publications, Lahore (2008)
    • Edition : 2008
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now