miTne wali hasraten ijad kar leta hun main
miTne vaalī hasrateñ ījād kar letā huuñ maiñ
jab bhī chāhūñ ik jahāñ ābād kar letā huuñ maiñ
mujh ko in majbūriyoñ par bhī hai itnā iḳhtiyār
aah bhar letā huuñ maiñ fariyād kar letā huuñ maiñ
husn be-chāra to ho jaatā hai aksar mehrbāñ
phir use āmāda-e-be-dād kar letā huuñ maiñ
tū nahīñ kahtā magar dekh o vafā-nā-āshnā
apnī hastī kis qadar barbād kar letā huuñ maiñ
haañ ye vīrāna ye dil ye ārzūoñ kā mazār
tum kaho to phir ise ābād kar letā huuñ maiñ
jab koī taaza musībat TūTtī hai ai 'hafīz'
ek aadat hai ḳhudā ko yaad kar letā huuñ maiñ
miTne wali hasraten ijad kar leta hun main
jab bhi chahun ek jahan aabaad kar leta hun main
mujh ko in majburiyon par bhi hai itna iKHtiyar
aah bhar leta hun main fariyaad kar leta hun main
husn be-chaara to ho jata hai aksar mehrban
phir use aamada-e-be-dad kar leta hun main
tu nahin kahta magar dekh o wafa-na-ashna
apni hasti kis qadar barbaad kar leta hun main
han ye virana ye dil ye aarzuon ka mazar
tum kaho to phir ise aabaad kar leta hun main
jab koi taza musibat TuTti hai ai 'hafiz'
ek aadat hai KHuda ko yaad kar leta hun main
- Book : Kulliyat-e-Hafeez Jalandhari (Pg. 402)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.