miTte hue huruf ko paDhne ki KHu kiya karen
miTte hue hurūf ko paḌhne kī ḳhū kiyā kareñ
satreñ kuredte hue poreñ lahū kiyā kareñ
nau-vāridān-e-ishq se kah dījiye ki dasht meñ
vahshat se qabl ret se jā kar vuzū kiyā kareñ
injī-e-dil meñ darj hoñ āyāt-e-nuqra.ī to phir
ham bhī suḳhan ke baab meñ kuchh hāv-hū kiyā kareñ
mai-ḳhāna-e-azal ko vo do nain phir se lā ke do
jo ehtimām-e-ḳhvāhish-e-jām-o-subū kiyā kareñ
miTte hue huruf ko paDhne ki KHu kiya karen
satren kuredte hue poren lahu kiya karen
nau-waridan-e-ishq se kah dijiye ki dasht mein
wahshat se qabl ret se ja kar wuzu kiya karen
inji-e-dil mein darj hon aayat-e-nuqrai to phir
hum bhi suKHan ke bab mein kuchh haw-hu kiya karen
mai-KHana-e-azal ko wo do nain phir se la ke do
jo ehtimam-e-KHwahish-e-jam-o-subu kiya karen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.