miTTi ka jism aur saf-e-moatabar mein hai
miTTī kā jism aur saf-e-mo'atabar meñ hai
kitnā baḌā kamāl kaf-e-kūza-gar meñ hai
aisī havas chhipī huī qalb-e-bashar meñ hai
ghar meñ haiñ aur vus.at-e-duniyā nazar meñ hai
shauq-e-suḳhan-varī ko miTātā maiñ kis tarah
ye to rachī-basī mire qalb-o-jigar meñ hai
mil jaa.e be-qarār ko lutf-e-sukūn-e-dil
aisī to bas misāl ḳhudā hī ke ghar meñ hai
tum ko tumhārī manzil-e-maqsūd mil ga.ī
apnā to kārvāñ abhī gard-e-safar meñ hai
pahnūñ maiñ kaise atlas-o-kamḳhvāb ke libās
sūraj ġhurūb hone kā manzar nazar meñ hai
chhū legā 'shād' tū bhī kisī roz āsmāñ
vo azm aur vo josh tire bāl-o-par meñ hai
miTTi ka jism aur saf-e-mo'atabar mein hai
kitna baDa kamal kaf-e-kuza-gar mein hai
aisi hawas chhipi hui qalb-e-bashar mein hai
ghar mein hain aur wusat-e-duniya nazar mein hai
shauq-e-suKHan-wari ko miTata main kis tarah
ye to rachi-basi mere qalb-o-jigar mein hai
mil jae be-qarar ko lutf-e-sukun-e-dil
aisi to bas misal KHuda hi ke ghar mein hai
tum ko tumhaari manzil-e-maqsud mil gai
apna to karwan abhi gard-e-safar mein hai
pahnun main kaise atlas-o-kamKHwab ke libas
suraj ghurub hone ka manzar nazar mein hai
chhu lega 'shad' tu bhi kisi roz aasman
wo azm aur wo josh tere baal-o-par mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.