miTTi ka rang-rup banae hue hain log
miTTī kā rañg-rūp banā.e hue haiñ log
lekin diloñ meñ sang chhupā.e hue haiñ log
ai abr-e-haq-pasand zarā jhuum kar baras
chehre pe jhūTī shaan jamā.e hue haiñ log
chehre pe dostoñ ke riyā nāchtī milī
chāhat kī kaisī dhuup ugaa.e hue haiñ log
is baar kaun daam meñ aa jaa.e kyā ḳhabar
ma.asūmiyat kā jaal bichhā.e hue haiñ log
shāyad vajūd apnā salāmat na rah sake
sho.ala-numā mizāj banā.e hue haiñ log
dāmān-e-ishtiyāq kā bachnā muhāl hai
'aḳhtar' havas kī aag jalā.e hue haiñ log
miTTi ka rang-rup banae hue hain log
lekin dilon mein sang chhupae hue hain log
ai abr-e-haq-pasand zara jhum kar baras
chehre pe jhuTi shan jamae hue hain log
chehre pe doston ke riya nachti mili
chahat ki kaisi dhup ugae hue hain log
is bar kaun dam mein aa jae kya KHabar
masumiyat ka jal bichhae hue hain log
shayad wajud apna salamat na rah sake
shoala-numa mizaj banae hue hain log
daman-e-ishtiyaq ka bachna muhaal hai
'aKHtar' hawas ki aag jalae hue hain log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.