miTTi ki surahi hai
miTTī kī surāhī hai
paanī kī gavāhī hai
ushshāq nahīñ ham log
par rañg to kaahī hai
har ġhuncha-e-lab darbāñ
har shāḳh sipāhī hai
sabze pe khiñchā naqsha
aur surḳh siyāhī hai
ik sāñvlī patjhaḌ ke
pushte pe tabāhī hai
udhḌī huī qabroñ par
katboñ kī manāhī hai
ai kāñch kī sī pinDlī
ye shahr-e-sabā hī hai
miTTi ki surahi hai
pani ki gawahi hai
ushshaq nahin hum log
par rang to kahi hai
har ghuncha-e-lab darban
har shaKH sipahi hai
sabze pe khincha naqsha
aur surKH siyahi hai
ek sanwli patjhaD ke
pushte pe tabahi hai
udhDi hui qabron par
katbon ki manahi hai
ai kanch ki si pinDli
ye shahr-e-saba hi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.