miTTi ki taswir hai insan lekin hai ye haal miyan
miTTī kī tasvīr hai insāñ lekin hai ye haal miyāñ
is ke dil meñ armānoñ kā phailā hai ik jaal miyāñ
jis ko dekho dam bhartā hai ulfat pyaar mohabbat ke
bātoñ kā dhanvān hai lekin dil kā hai kangāl miyāñ
vaqt hai aisā farzānoñ ke paaoñ ukhḌe jaate haiñ
ek na ik din kaam aa.egī dīvānoñ kī chaal miyāñ
itnī kaḌī hai dhuup yahāñ kī terā merā zikr hī kyā
kaise-kaise log yahāñ par haal se haiñ behāl miyāñ
chāhat kī rangīn Dagar par tanhā chalnā khel nahīñ
ham bhī 'niyāzī' ho aa.e haiñ jī kā hai janjāl miyāñ
miTTi ki taswir hai insan lekin hai ye haal miyan
is ke dil mein armanon ka phaila hai ek jal miyan
jis ko dekho dam bharta hai ulfat pyar mohabbat ke
baaton ka dhanwan hai lekin dil ka hai kangal miyan
waqt hai aisa farzanon ke paon ukhDe jate hain
ek na ek din kaam aaegi diwanon ki chaal miyan
itni kaDi hai dhup yahan ki tera mera zikr hi kya
kaise-kaise log yahan par haal se hain behaal miyan
chahat ki rangin Dagar par tanha chalna khel nahin
hum bhi 'niyazi' ho aae hain ji ka hai janjal miyan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.