miTTi tere mahakne se mujhko guman hai
miTTī tire mahakne se mujh ko gumān hai
bārish kī buuñd buuñd meñ ik dāstān hai
ye sochte ho kyuuñ ki ḳhudā bas tumheñ milā
dekho jahāñ zamīñ hai vahāñ āsmān hai
lagtā hai ghar vahī jahāñ aapas meñ pyaar ho
varna to log rahte haiñ aur ik makān hai
āñkhoñ kī bāt-chīt meñ paḌnā ye soch kar
nazroñ ke len-den meñ dil kā ziyān hai
hairat hai kaise phuul se ḳhushbū huī judā
mauqa.a mile to sochnā kyā darmiyān hai
shāyad ki aur bhī kahīñ bastī hai zindagī
lagtā hai aur bhī kahīñ aisā jahān hai
tum hī kaho ki vaqt se kyuuñ haar maan luuñ
jab ruuh meñ umañg hai dil bhī javān hai
'anvār' bazm hai sajī ho jaa.e shā.erī
urdu se ham ko ishq hai apnī zabān hai
miTTi tere mahakne se mujh ko guman hai
barish ki bund bund mein ek dastan hai
ye sochte ho kyun ki KHuda bas tumhein mila
dekho jahan zamin hai wahan aasman hai
lagta hai ghar wahi jahan aapas mein pyar ho
warna to log rahte hain aur ek makan hai
aankhon ki baat-chit mein paDna ye soch kar
nazron ke len-den mein dil ka ziyan hai
hairat hai kaise phul se KHushbu hui juda
mauqa mile to sochna kya darmiyan hai
shayad ki aur bhi kahin basti hai zindagi
lagta hai aur bhi kahin aisa jahan hai
tum hi kaho ki waqt se kyun haar man lun
jab ruh mein umang hai dil bhi jawan hai
'anwar' bazm hai saji ho jae shaeri
urdu se hum ko ishq hai apni zaban hai
- Book : Gulab Khilty Hain (Pg. 160)
- Author : Dr. Syed Anwar Ahmad
- Publication : Jahangir Books (2013)
- Edition : 2013
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.