miyan dil tujhe le chale husn wale
miyāñ dil tujhe le chale husn vaale
kaho aur kiyā jā ḳhudā ke havāle
idhar aa zarā tujh se mil kar maiñ ro luuñ
tū mujh se zarā mil ke aañsū bahā le
chalā ab to saath un ke tū bebasī se
lagā mere pahlū meñ furqat ke bhāle
ḳhabar-dār un ke sivā zulf o ruḳh ke
kahīñ mat nikalnā añdhere ujāle
tire aur bhī haiñ talabgār kitne
mabādā koī tujh ko vaañ se uḌā le
kahīñ qahr aisā na kiijo ki mujh ko
bulāne paḌeñ faal ta.avīz vaale
kisī kā to kuchh bhī na jāvegā lekin
paḌeñge mujhe apne jiine ke laale
tirī kuchh sifārish maiñ un se bhī kar duuñ
karegā tū kyā yaad mujh ko bhulā le
suno dilbaro gul-ruḳho mah-jabīno
maiñ tum paas aayā huuñ ik iltijā le
ḳhudā kī razā yā mohabbat se apnī
paḌā ab to aa kar tumhāre ye paale
tum apne hī qadmoñ tale us ko rakhiyo
tasallī dilāse meñ har dam sambhāle
koī us ko taklīf aisī na diijo
ki jis meñ ye ro kar kare aah naale
tumhāre ye sab naaz uThāvegā lekin
vahī bojh rakhiyo jise ye uThā le
agar dastaras ho to kiije munādī
ki phir koī siine meñ dil ko na paale
'nazīr' aah dil kī judā.ī burī hai
baheñ kyuuñ na āñkhoñ se aañsū ke naale
miyan dil tujhe le chale husn wale
kaho aur kiya ja KHuda ke hawale
idhar aa zara tujh se mil kar main ro lun
tu mujh se zara mil ke aansu baha le
chala ab to sath un ke tu bebasi se
laga mere pahlu mein furqat ke bhaale
KHabar-dar un ke siwa zulf o ruKH ke
kahin mat nikalna andhere ujale
tere aur bhi hain talabgar kitne
mabaada koi tujh ko wan se uDa le
kahin qahr aisa na kijo ki mujh ko
bulane paDen fal tawiz wale
kisi ka to kuchh bhi na jawega lekin
paDenge mujhe apne jine ke lale
teri kuchh sifarish main un se bhi kar dun
karega tu kya yaad mujh ko bhula le
suno dilbaro gul-ruKHo mah-jabino
main tum pas aaya hun ek iltija le
KHuda ki raza ya mohabbat se apni
paDa ab to aa kar tumhaare ye pale
tum apne hi qadmon tale us ko rakhiyo
tasalli dilase mein har dam sambhaale
koi us ko taklif aisi na dijo
ki jis mein ye ro kar kare aah nale
tumhaare ye sab naz uThawega lekin
wahi bojh rakhiyo jise ye uTha le
agar dastaras ho to kije munadi
ki phir koi sine mein dil ko na pale
'nazir' aah dil ki judai buri hai
bahen kyun na aankhon se aansu ke nale
- deewan-e-nazeer-akbarabadi(vol-2)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.