miyan-e-did koi wajh-e-iltifat khule
miyān-e-dīd koī vaj.h-e-iltifāt khule
ki us kā band-e-qabā shab ke saath saath khule
hazār ramz-o-kinā.e ba-sūrat-e-tahrīr
agar khule to kisī be-hunar ke haath khule
khulā ki 'umr-e-ravāñ hai ba-rang-e-kaif-o-surūr
vo ḳhadd-o-ḳhāl bahut chāñdnī kī raat khule
vo aañkh khultī hai paiham so vo khulī hī rahe
kahāñ ye fikr hameñ dahr-e-be-sabāt khule
sharāb vāqi’atan irtiqā-e-ahsan hai
so pī rahe haiñ musalsal ki ye hayāt khule
kise shu'ūr mayassar hai āshnā.ī kā
kise nasīb ki us par hamārī zaat khule
miyan-e-did koi wajh-e-iltifat khule
ki us ka band-e-qaba shab ke sath sath khule
hazar ramz-o-kinae ba-surat-e-tahrir
agar khule to kisi be-hunar ke hath khule
khula ki 'umr-e-rawan hai ba-rang-e-kaif-o-surur
wo KHadd-o-KHal bahut chandni ki raat khule
wo aankh khulti hai paiham so wo khuli hi rahe
kahan ye fikr hamein dahr-e-be-sabaat khule
sharab waqi’atan irtiqa-e-ahsan hai
so pi rahe hain musalsal ki ye hayat khule
kise shu'ur mayassar hai aashnai ka
kise nasib ki us par hamari zat khule
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.