miyan-e-jang musalsal kaman khinch ke rakh
miyān-e-jañg musalsal kamān khīñch ke rakh
guhar har ek shanāvar kā dhyān khīñch ke rakh
tū apne aap meñ ālī-maqām ho ki na ho
bas apne sāmne vāloñ ke kaan khīñch ke rakh
hazār zor dikhāveñ tujhe ye barsāteñ
mire uqaab tū apnī uḌaan khīñch ke rakh
abhī chhalāñg lagā.egā āsmāñ vaalā
tū bas zamīn pe kapḌe kā thaan khīñch ke rakh
na-jāne kaun-se lamha chalānī paḌ jaa.e
kamān khīñch ke rakh merī jaan khīñch ke rakh
miyan-e-jang musalsal kaman khinch ke rakh
guhar har ek shanawar ka dhyan khinch ke rakh
tu apne aap mein aali-maqam ho ki na ho
bas apne samne walon ke kan khinch ke rakh
hazar zor dikhawen tujhe ye barsaten
mere uqab tu apni uDan khinch ke rakh
abhi chhalang lagaega aasman wala
tu bas zamin pe kapDe ka than khinch ke rakh
na-jaane kaun-se lamha chalani paD jae
kaman khinch ke rakh meri jaan khinch ke rakh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.