miyan-e-KHalq hain par hain kahan hum
miyan-e-KHalq hain par hain kahan hum
Raja Girdhari Parsad Baqi
MORE BYRaja Girdhari Parsad Baqi
miyān-e-ḳhalq haiñ par haiñ kahāñ ham
hue haiñ ai miyāñ tere miyāñ ham
haiñ shāyad us parī-rū ke vahāñ ham
jo yuuñ nazroñ se rahte haiñ nihāñ ham
milegā ḳhizr ko apnā patā kab
ravāñ haiñ sūrat-e-reg-e-ravāñ ham
mohabbat meñ hue rusvā-e-ālam
jahāñ hañstā hai rote haiñ jahāñ ham
na.e sadme use dete raheñge
abhī dil kā kareñge imtihāñ ham
makān-e-asl ko jaate haiñ ai charḳh
tire ghar meñ the do din mehmāñ ham
majāl ab kyā jo ham se charb-go ho
tirī ai sham.a kāTeñge zabāñ ham
mubārak shaiḳh sāhib ko amāma
uThā.eñge na ye bār-e-garāñ ham
muayyan hai hamārā rizq azal se
tire mamnūñ nahīñ ai āsmāñ ham
muqaddar ne vahīñ kampā lagāyā
jahāñ baiThe chaman meñ bāġhbāñ ham
mayassar faiz sāhab se haiñ ustād
dakan se jaa.eñ kyoñ hindostāñ ham
maqām apnā hai 'bāqī' be-maqāmī
makāñ rakhte nahīñ juz lā-makāñ ham
miyan-e-KHalq hain par hain kahan hum
hue hain ai miyan tere miyan hum
hain shayad us pari-ru ke wahan hum
jo yun nazron se rahte hain nihan hum
milega KHizr ko apna pata kab
rawan hain surat-e-reg-e-rawan hum
mohabbat mein hue ruswa-e-alam
jahan hansta hai rote hain jahan hum
nae sadme use dete rahenge
abhi dil ka karenge imtihan hum
makan-e-asl ko jate hain ai charKH
tere ghar mein the do din mehman hum
majal ab kya jo hum se charb-go ho
teri ai shama kaTenge zaban hum
mubarak shaiKH sahib ko amama
uThaenge na ye bar-e-garan hum
muayyan hai hamara rizq azal se
tere mamnun nahin ai aasman hum
muqaddar ne wahin kampa lagaya
jahan baiThe chaman mein baghban hum
mayassar faiz sahab se hain ustad
dakan se jaen kyon hindostan hum
maqam apna hai 'baqi' be-maqami
makan rakhte nahin juz la-makan hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.