miyan majburiyon ka rabt aksar TuT jata hai
miyāñ majbūriyoñ kā rabt aksar TuuT jaatā hai
vafā.eñ gar na hoñ buniyād meñ ghar TuuT jaatā hai
shanāvar ko koī daldal nahīñ dariyā diyā jaa.e
jahāñ kam-zarf baiThe hoñ suḳhanvar TuuT jaatā hai
anā ḳhuddār kī rakhtī hai us kā sar bulandī par
kisī poras ke aage har sikandar TuuT jaatā hai
ham apne dosto ke tanz sun kar muskurāte haiñ
magar us vaqt kuchh andar hī andar TuuT jaatā hai
mire dushman ke jo hālāt haiñ un se ye zāhir hai
ki ab shīshe se Takrāne pe patthar TuuT jaatā hai
sañjo rakkhī haiñ dil meñ qīmtī yādeñ magar phir bhī
bas ik nāzuk sī Thokar se ye locker TuuT jaatā hai
kināre par nahīñ ai dost maiñ ḳhud hī kināra huuñ
mujhe chhūne kī koshish meñ samundar TuuT jaatā hai
miyan majburiyon ka rabt aksar TuT jata hai
wafaen gar na hon buniyaad mein ghar TuT jata hai
shanawar ko koi daldal nahin dariya diya jae
jahan kam-zarf baiThe hon suKHanwar TuT jata hai
ana KHuddar ki rakhti hai us ka sar bulandi par
kisi poras ke aage har sikandar TuT jata hai
hum apne dosto ke tanz sun kar muskuraate hain
magar us waqt kuchh andar hi andar TuT jata hai
mere dushman ke jo haalat hain un se ye zahir hai
ki ab shishe se Takrane pe patthar TuT jata hai
sanjo rakkhi hain dil mein qimti yaaden magar phir bhi
bas ek nazuk si Thokar se ye locker TuT jata hai
kinare par nahin ai dost main KHud hi kinara hun
mujhe chhune ki koshish mein samundar TuT jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.