miyan zamane se lahja juda nahin tera
miyāñ zamāne se lahja judā nahīñ terā
yaqīn kar ki yaqīñ ab rahā nahīñ terā
kisī bhī dil ko salāmat nahīñ rakhā tū ne
ki kaam koī bhī achchhā rahā nahīñ terā
vahī hai ḳhushbū na.e haath kī hinā meñ magar
abhī tak aañkh se naqsha miTā nahīñ terā
mire ḳhilāf galī meñ huiiñ thiiñ bāteñ bahut
magar vahāñ koī chehra dikhā nahīñ terā
ye biich rāste meñ hijr kā jo faisla hai
kisī kā faisla hai faisla nahīñ terā
mirā vajūd hai garche sabab duāoñ kā
mire vajūd pe harf-e-duā nahīñ terā
ye tere baare meñ bhī soch rakhtā hai koī
mirā ḳhudā hai 'muzammil' ḳhudā nahīñ terā
miyan zamane se lahja juda nahin tera
yaqin kar ki yaqin ab raha nahin tera
kisi bhi dil ko salamat nahin rakha tu ne
ki kaam koi bhi achchha raha nahin tera
wahi hai KHushbu nae hath ki hina mein magar
abhi tak aankh se naqsha miTa nahin tera
mere KHilaf gali mein huin thin baaten bahut
magar wahan koi chehra dikha nahin tera
ye bich raste mein hijr ka jo faisla hai
kisi ka faisla hai faisla nahin tera
mera wajud hai garche sabab duaon ka
mere wajud pe harf-e-dua nahin tera
ye tere bare mein bhi soch rakhta hai koi
mera KHuda hai 'muzammil' KHuda nahin tera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.