mizaj-e-alam-e-imkan hai barham dekhiye kya ho
mizāj-e-ālam-e-imkāñ hai barham dekhiye kyā ho
sitam-kash pai-ba-pai hote haiñ bāham dekhiye kyā ho
ga.e vo din ki āvāzoñ pe ḳhāmoshī kā pahra thā
ba-har sū gūñjtā hai soz-e-paiham dekhiye kyā ho
ye kaisā rañg-e-mahfil hai pareshāñ hai bahut saaqī
bane baiThe haiñ sab mai-ḳhvār hamdam dekhiye kyā ho
chaman meñ rañg lā.egī sabā kī ābla-pā.ī
pilātī hai lahū shāḳhoñ ko shabnam dekhiye kyā ho
nazar Takrā rahī hai ab shuā-e-mehr-e-tābāñ se
huī hai ḳhushk kab kī chashm-e-pur-nam dekhiye kyā ho
rah-e-ġham muḳhtasar kar dī hai bazm-e-nā-shakebā ne
hue haiñ manziloñ ke fāsle kam dekhiye kyā ho
mizaj-e-alam-e-imkan hai barham dekhiye kya ho
sitam-kash pai-ba-pai hote hain baham dekhiye kya ho
gae wo din ki aawazon pe KHamoshi ka pahra tha
ba-har su gunjta hai soz-e-paiham dekhiye kya ho
ye kaisa rang-e-mahfil hai pareshan hai bahut saqi
bane baiThe hain sab mai-KHwar hamdam dekhiye kya ho
chaman mein rang laegi saba ki aabla-pai
pilati hai lahu shaKHon ko shabnam dekhiye kya ho
nazar Takra rahi hai ab shua-e-mehr-e-taban se
hui hai KHushk kab ki chashm-e-pur-nam dekhiye kya ho
rah-e-gham muKHtasar kar di hai bazm-e-na-shakeba ne
hue hain manzilon ke fasle kam dekhiye kya ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.