mizaj-e-dost mein kuchh barhami nazar aai
mizāj-e-dost meñ kuchh barhamī nazar aa.ī
mire ḳhulūs meñ shāyad kamī nazar aa.ī
tumhāre aane se saarā chaman mahak uTThā
kalī kalī pe tar-o-tāzgī nazar aa.ī
ye inqilāb-e-zamāna hai yā fusūn-e-nazar
hañsī bhī aap kī mahbūb sī nazar aa.ī
yahī to dard-e-judā.ī kā faiz hai mujh par
sisaktī saañs ukhaḌtī huī nazar aa.ī
ye zaḳhm-e-ishq kā ehsāñ hai rāh-e-ulfat meñ
udaas dil meñ bhī ik raushnī nazar aa.ī
hai pur-fareb ye tarz-e-amal hasīnoñ kā
zarā sī chheḌ pe vāraftagī nazar aa.ī
hujūm-e-māh-vashāñ meñ 'azīm' rah ke mujhe
qadam qadam pe baḌī bebasī nazar aa.ī
mizaj-e-dost mein kuchh barhami nazar aai
mere KHulus mein shayad kami nazar aai
tumhaare aane se sara chaman mahak uTTha
kali kali pe tar-o-tazgi nazar aai
ye inqilab-e-zamana hai ya fusun-e-nazar
hansi bhi aap ki mahbub si nazar aai
yahi to dard-e-judai ka faiz hai mujh par
sisakti sans ukhaDti hui nazar aai
ye zaKHm-e-ishq ka ehsan hai rah-e-ulfat mein
udas dil mein bhi ek raushni nazar aai
hai pur-fareb ye tarz-e-amal hasinon ka
zara si chheD pe waraftagi nazar aai
hujum-e-mah-washan mein 'azim' rah ke mujhe
qadam qadam pe baDi bebasi nazar aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.