mizaj-e-gardish-e-dauran wahi samajhte hain
mizāj-e-gardish-e-daurāñ vahī samajhte haiñ
jo rasm-o-rāh-e-ġham-e-āshiqī samajhte haiñ
vo kaun log the raas aa.ī jin ko ġhurbat bhī
hameñ to ahl-e-vatan ajnabī samajhte haiñ
shikast-e-dil kā ye ik lāzmī natīja hai
huzūr aap jise sādgī samajhte haiñ
baḌī latīf hai ye lazzat-e-talab lekin
kuchh is ko tere gunahgār hī samajhte haiñ
chhupāo ham se na 'shāhīn' rāz-e-dil apnā
ki ham zabāñ nigah-e-shauq kī samajhte haiñ
mizaj-e-gardish-e-dauran wahi samajhte hain
jo rasm-o-rah-e-gham-e-ashiqi samajhte hain
wo kaun log the ras aai jin ko ghurbat bhi
hamein to ahl-e-watan ajnabi samajhte hain
shikast-e-dil ka ye ek lazmi natija hai
huzur aap jise sadgi samajhte hain
baDi latif hai ye lazzat-e-talab lekin
kuchh is ko tere gunahgar hi samajhte hain
chhupao hum se na 'shahin' raaz-e-dil apna
ki hum zaban nigah-e-shauq ki samajhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.