mizaj-e-shahr ki KHushki se ajnabi main tha
mizāj-e-shahr kī ḳhushkī se ajnabī maiñ thā
paramparā kī kahānī meñ bid.atī maiñ thā
ġharīq-e-fisq ke chehre ko yaad phir se kar
masarratoñ bhare hoñToñ pe kapkapī maiñ thā
tirā ye zo.am ki tū ḳhud hī aa gayā hai yahāñ
ai nā-samajh tirī āñkhoñ kī raushnī maiñ thā
ġhazal ġhazal pe tavajjoh sameTne vaale
tirā kināya-o-tashbīh-o-shā.erī maiñ thā
jise tū shaan se sar par uThā.e phirtā hai
usī zarāfat-e-dil kā dharā kabhī maiñ thā
tire vajūd se thī rangat-o-bahār-o-sabā
tire chaman ke gulāboñ kī tāzgī maiñ thā
mujhe nikāl ke us ne bhalā kiyā 'mansūr'
bahisht-zār kā bas ik jahannamī maiñ thā
mizaj-e-shahr ki KHushki se ajnabi main tha
parampara ki kahani mein bidati main tha
ghariq-e-fisq ke chehre ko yaad phir se kar
masarraton bhare honTon pe kapkapi main tha
tera ye zoam ki tu KHud hi aa gaya hai yahan
ai na-samajh teri aankhon ki raushni main tha
ghazal ghazal pe tawajjoh sameTne wale
tera kinaya-o-tashbih-o-shaeri main tha
jise tu shan se sar par uThae phirta hai
usi zarafat-e-dil ka dhara kabhi main tha
tere wajud se thi rangat-o-bahaar-o-saba
tere chaman ke gulabon ki tazgi main tha
mujhe nikal ke us ne bhala kiya 'mansur'
bahisht-zar ka bas ek jahannami main tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.