mizaj le ke bil-aKHir juda kidhar jae
mizāj le ke bil-āḳhir judā kidhar jaa.e
charāġh-e-dost bane haiñ havā kidhar jaa.e
diloñ se rabt hai koī na dard se rishta
koī batā.e bhalā ab duā kidhar jaa.e
har ik nigāh meñ ik ḳhauf bhī hai ḳhvāhish bhī
kise patā vo sitāra-adā kidhar jaa.e
fasīl band haiñ sab bū-e-gul ke shaidā.ī
chaman se nikle to bād-e-sabā kidhar jaa.e
har ek samt añdherā hai dekhiye kyā ho
nikal ke ghar se vo raushan qabā kidhar jaa.e
mizaj le ke bil-aKHir juda kidhar jae
charagh-e-dost bane hain hawa kidhar jae
dilon se rabt hai koi na dard se rishta
koi batae bhala ab dua kidhar jae
har ek nigah mein ek KHauf bhi hai KHwahish bhi
kise pata wo sitara-ada kidhar jae
fasil band hain sab bu-e-gul ke shaidai
chaman se nikle to baad-e-saba kidhar jae
har ek samt andhera hai dekhiye kya ho
nikal ke ghar se wo raushan qaba kidhar jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.