moajiza ye hai ki manzil ke nishan tak pahunche
mo.ajiza ye hai ki manzil ke nishāñ tak pahuñche
barf ke log bhī sūraj ke jahāñ tak pahuñche
kitne miTTī ke badan tez havāoñ ke tufail
kāġhazī naav meñ paanī ke makāñ tak pahuñche
maiñ ki zulmat meñ muqaffal huuñ kabhī mere ḳhudā
sub.h kī pahlī kiran mere makāñ tak pahuñche
ham vo nādān ki patthar ke khilaune lene
ghar se nikle bhī to shīshe kī dukān tak pahuñche
bārish-e-ashk thamī aañkh dhanak-rang huī
Duub ke dukh ke samundar meñ kahāñ tak pahuñche
mauj-dar-mauj girah bāñdhne 'tāhir-hanafī'
haath meñ ashk liye āb-e-ravāñ tak pahuñche
moajiza ye hai ki manzil ke nishan tak pahunche
barf ke log bhi suraj ke jahan tak pahunche
kitne miTTi ke badan tez hawaon ke tufail
kaghazi naw mein pani ke makan tak pahunche
main ki zulmat mein muqaffal hun kabhi mere KHuda
subh ki pahli kiran mere makan tak pahunche
hum wo nadan ki patthar ke khilaune lene
ghar se nikle bhi to shishe ki dukan tak pahunche
barish-e-ashk thami aankh dhanak-rang hui
Dub ke dukh ke samundar mein kahan tak pahunche
mauj-dar-mauj girah bandhne 'tahir-hanafi'
hath mein ashk liye aab-e-rawan tak pahunche
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.