moD aisa bhi mohabbat mein kabhi aaega
moḌ aisā bhī mohabbat meñ kabhī aa.egā
dil meñ rahtā hai jo vo dil se utar jā.egā
yuuñ to har zaḳhm mirā suukh chukā hai lekin
yaad ke abr jo barse to ubhar aa.egā
saath rah jā.eñge yādoñ ke nukīle kāñTe
mausam-e-vasl to lamhoñ meñ guzar jā.egā
khil kabhī pā.egī kyā dil kī kalī dobāra
kyā ye sahrā kabhī gulshan meñ badal pā.egā
ham hamesha kī tarah us kā yaqīñ kar leñge
vo hamesha kī tarah ham se mukar jā.egā
moD aisa bhi mohabbat mein kabhi aaega
dil mein rahta hai jo wo dil se utar jaega
yun to har zaKHm mera sukh chuka hai lekin
yaad ke abr jo barse to ubhar aaega
sath rah jaenge yaadon ke nukile kanTe
mausam-e-wasl to lamhon mein guzar jaega
khil kabhi paegi kya dil ki kali dobara
kya ye sahra kabhi gulshan mein badal paega
hum hamesha ki tarah us ka yaqin kar lenge
wo hamesha ki tarah hum se mukar jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.