moD moD ghabraya gam gam dahla main
moḌ moḌ ghabrāyā gaam gaam dahlā maiñ
jaane kin ḳharāboñ ke rāstoñ pe niklā maiñ
sat.h-e-āb kah paa.e kyā tahoñ ke afsāne
sāme-e-lab-e-sāhil bahr se bhī gahrā maiñ
aur kuchh taqāze kā silsila chale yaaro
pal meñ kaise man jā.ūñ muddatoñ kā rūThā maiñ
vo ki hai mirā apnā harf-e-mudda.ā us ko
ġhair ke havāle se kis tarah samajhtā maiñ
jaane jazb ho jā.ūñ kab fazā ke āñchal meñ
sā.atoñ kī āñkhoñ se ashk ban ke Dhalkā maiñ
ek roz to girtīñ fāsloñ kī dīvāreñ
ek roz to apne saath saath chaltā maiñ
kaun hai mirā qātil kis kā naam luuñ 'ālī'
apnī hī vafāoñ ke pāniyoñ meñ Duubā maiñ
moD moD ghabraya gam gam dahla main
jaane kin KHarabon ke raston pe nikla main
sath-e-ab kah pae kya tahon ke afsane
same-e-lab-e-sahil bahr se bhi gahra main
aur kuchh taqaze ka silsila chale yaro
pal mein kaise man jaun muddaton ka ruTha main
wo ki hai mera apna harf-e-muddaa us ko
ghair ke hawale se kis tarah samajhta main
jaane jazb ho jaun kab faza ke aanchal mein
saaton ki aankhon se ashk ban ke Dhalka main
ek roz to girtin faslon ki diwaren
ek roz to apne sath sath chalta main
kaun hai mera qatil kis ka nam lun 'ali'
apni hi wafaon ke paniyon mein Duba main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.