modern hiren to zar-daron ke han rah jaengi
modern hīreñ to zar-dāroñ ke haañ rah jā.eñgī
aur rāñjhoñ ke laboñ par murliyāñ rah jā.eñgī
ho sake to tum bachā lo ab bhī desī nasl ko
varna pīchhe sirf ''shevar'' murġhiyāñ rah jā.eñgī
''sunflower'' ho gayā hai ibn-e-ādam kī ġhizā
ab chaman-zāroñ meñ goyā sabziyāñ rah jā.eñgī
chhoTī qaumoñ par agar ''veto'' kā laTh chaltā rahā
sirf ''uñ.o'' meñ ġhunDa-gardiyāñ rah jā.eñgī
nek-sīrat shauharoñ ko dekh kar hūroñ ke biich
ḳhuld ke andar taḌap kar bīviyāñ rah jā.eñgī
zulmateñ hoñgī tavānā.ī ke is bohrān meñ
sirf āñkhoñ meñ chamaktī bijliyāñ rah jā.eñgī
murġh par fauran jhapaT dāvat meñ varna ba.ad meñ
shorba aur gardanoñ kī haDDiyāñ rah jā.eñgī
ghar ke gul-dānoñ meñ 'shāhid' phuul hoñge kāġhzī
aur pardoñ par ''printed'' titliyāñ rah jā.eñgī
modern hiren to zar-daron ke han rah jaengi
aur ranjhon ke labon par murliyan rah jaengi
ho sake to tum bacha lo ab bhi desi nasl ko
warna pichhe sirf shewar murghiyan rah jaengi
sunflower ho gaya hai ibn-e-adam ki ghiza
ab chaman-zaron mein goya sabziyan rah jaengi
chhoTi qaumon par agar weto ka laTh chalta raha
sirf uno mein ghunDa-gardiyan rah jaengi
nek-sirat shauharon ko dekh kar huron ke bich
KHuld ke andar taDap kar biwiyan rah jaengi
zulmaten hongi tawanai ke is bohran mein
sirf aankhon mein chamakti bijliyan rah jaengi
murgh par fauran jhapaT dawat mein warna baad mein
shorba aur gardanon ki haDDiyan rah jaengi
ghar ke gul-danon mein 'shahid' phul honge kaghzi
aur pardon par printed titliyan rah jaengi
- Book : Dish antenna (Pg. 77)
- Author : Sarfaraaz Shahid
- Publication : Dost Publications Islamabaad (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.