mohabbat aur KHushbu ka nagar taqsim ho jae
mohabbat aur ḳhushbū kā nagar taqsīm ho jaa.e
kahīñ aisā na ho ghar kā shajar taqsīm ho jaa.e
lahū rotī huī āñkheñ lahū rotī hī rahtī haiñ
havas ke haath jab purkhoñ kā ghar taqsīm ho jaa.e
kabhī bhī aag kī fasleñ yahāñ par ug nahīñ saktīñ
mohabbat saare aalam meñ agar taqsīm ho jaa.e
udāsī ke ghane jañgal meñ raste jā nikalte haiñ
fazāoñ meñ nayā jab ek Dar taqsīm ho jaa.e
kabhī jo yaad kartī huuñ tirī qurbat ke lamhoñ ko
mirī sāñsoñ talak us kā asar taqsīm ho jaa.e
mirī maañ kī duāoñ kā 'samīna' mo.ajiza dekho
mire pairoñ meñ aate hī bhañvar taqsīm ho jaa.e
mohabbat aur KHushbu ka nagar taqsim ho jae
kahin aisa na ho ghar ka shajar taqsim ho jae
lahu roti hui aankhen lahu roti hi rahti hain
hawas ke hath jab purkhon ka ghar taqsim ho jae
kabhi bhi aag ki faslen yahan par ug nahin saktin
mohabbat sare aalam mein agar taqsim ho jae
udasi ke ghane jangal mein raste ja nikalte hain
fazaon mein naya jab ek Dar taqsim ho jae
kabhi jo yaad karti hun teri qurbat ke lamhon ko
meri sanson talak us ka asar taqsim ho jae
meri man ki duaon ka 'samina' moajiza dekho
mere pairon mein aate hi bhanwar taqsim ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.