mohabbat be-niyaz-e-ma-siwa hai
mohabbat be-niyāz-e-mā-sivā hai
baḌe jhagḌoñ pe qaabū pā liyā hai
tasavvur fil-haqīqat mo.ajiza hai
kisī kā dil pe saaya paḌ rahā hai
ḳhudā hī se na kyuuñ māñgūñ panāheñ
ki zehn-e-nā-ḳhudā meñ bhī ḳhudā hai
muhāfiz bhī mirā majbūr niklā
ginā kartā huuñ maiñ vo dekhtā hai
samajhtā hai tujhe apnī tajallī
tirā partav bhī kitnā ḳhud-numā hai
ḳhudā-e-ishq hai vo husn-e-kāfir
magar ab tak na samjhā ishq kyā hai
mohabbat be-niyaz-e-ma-siwa hai
baDe jhagDon pe qabu pa liya hai
tasawwur fil-haqiqat moajiza hai
kisi ka dil pe saya paD raha hai
KHuda hi se na kyun mangun panahen
ki zehn-e-na-KHuda mein bhi KHuda hai
muhafiz bhi mera majbur nikla
gina karta hun main wo dekhta hai
samajhta hai tujhe apni tajalli
tera partaw bhi kitna KHud-numa hai
KHuda-e-ishq hai wo husn-e-kafir
magar ab tak na samjha ishq kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.