mohabbat bikti ho gar shahr mein aisi dukan DhunDen
mohabbat bikti ho gar shahr mein aisi dukan DhunDen
Professor Mahmood Alam
MORE BYProfessor Mahmood Alam
mohabbat biktī ho gar shahr meñ aisī dukāñ DhūñDeñ
kudūrat dil kī dhultī ho jahāñ aisī dukāñ DhūñDeñ
sukūn-e-dil mayassar ho koī aisā makāñ DhūñDeñ
munāsib ab nahīñ har chiiz meñ sūd-o-ziyāñ DhūñDeñ
bigaḌtī baat bhī ban jaatī hai shīrīñ-zabānī se
agar biktī ho tere shahr meñ aisī zabāñ DhūñDeñ
kahāñ tak nafratoñ kī chhat pe baiThe dhuup señkoge
utar aao zamīñ par pyaar kā koī makāñ DhūñDeñ
sunā hai shahr meñ hafte kā ik bāzār lagtā hai
agar bhūle se mil jaa.e vahāñ urdu zabāñ DhūñDeñ
shab-e-dījūr kī chorī ho yā ho roz-e-raushan kī
pata to mil hī jā.egā chalo koī nishāñ DhūñDeñ
bahut mushkil hai lafzoñ meñ pironā dil kī hālat ko
batā.e hī binā jo baat kah de vo bayāñ DhūñDeñ
bahut ghabrā ga.e haiñ zindagī ke shor se 'ālam'
jahāñ bajtī ho bansī chain kī aisā jahāñ DhūñDeñ
mohabbat bikti ho gar shahr mein aisi dukan DhunDen
kudurat dil ki dhulti ho jahan aisi dukan DhunDen
sukun-e-dil mayassar ho koi aisa makan DhunDen
munasib ab nahin har chiz mein sud-o-ziyan DhunDen
bigaDti baat bhi ban jati hai shirin-zabani se
agar bikti ho tere shahr mein aisi zaban DhunDen
kahan tak nafraton ki chhat pe baiThe dhup senkoge
utar aao zamin par pyar ka koi makan DhunDen
suna hai shahr mein hafte ka ek bazar lagta hai
agar bhule se mil jae wahan urdu zaban DhunDen
shab-e-dijur ki chori ho ya ho roz-e-raushan ki
pata to mil hi jaega chalo koi nishan DhunDen
bahut mushkil hai lafzon mein pirona dil ki haalat ko
batae hi bina jo baat kah de wo bayan DhunDen
bahut ghabra gae hain zindagi ke shor se 'alam'
jahan bajti ho bansi chain ki aisa jahan DhunDen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.