mohabbat chahte ho kyun wafa kyun mangte ho
mohabbat chāhte ho kyuuñ vafā kyuuñ māñgte ho
tum un bīmār āñkhoñ se davā kyuuñ māñgte ho
musāfir ho to niklo paañv meñ āñkheñ lagā kar
kisī bhī ham-safar se rāsta kyuuñ māñgte ho
unheñ to ḳhud hī apnī jaan ke laale paḌe haiñ
bichāre shahr vāloñ se havā kyuuñ māñgte ho
abhī kuchh thā abhī kuchh hai badan āb-e-ravāñ sā
badan se āj-kal kā vāqi.a kyuuñ māñgte ho
hudūd-e-ḳhāk se bāhar nahīñ aa pā.egā husn
vo jitnā hai use us se sivā kyuuñ māñgte ho
hujūm-e-shahr meñ se tiir se nikle chale jaao
hujūm-e-shahr se us kī razā kyuuñ māñgte ho
mohabbat aap hī apnā sila hai 'farhat-ehsās'
mohabbat kar rahe ho to sila kyuuñ māñgte ho
mohabbat chahte ho kyun wafa kyun mangte ho
tum un bimar aankhon se dawa kyun mangte ho
musafir ho to niklo panw mein aankhen laga kar
kisi bhi ham-safar se rasta kyun mangte ho
unhen to KHud hi apni jaan ke lale paDe hain
bichaare shahr walon se hawa kyun mangte ho
abhi kuchh tha abhi kuchh hai badan aab-e-rawan sa
badan se aaj-kal ka waqia kyun mangte ho
hudud-e-KHak se bahar nahin aa paega husn
wo jitna hai use us se siwa kyun mangte ho
hujum-e-shahr mein se tir se nikle chale jao
hujum-e-shahr se us ki raza kyun mangte ho
mohabbat aap hi apna sila hai 'farhat-ehsas'
mohabbat kar rahe ho to sila kyun mangte ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.