mohabbat chhoD di humne mohabbat thi saza jaisi
mohabbat chhoḌ dī ham ne mohabbat thī sazā jaisī
usī ko chāhte the ham vo chāhat thī duā jaisī
ye jo ik zaḳhm-e-dil hai ye diyā ban kar chamaktā hai
ye jo ik Tiis hai furqat meñ hai mujh ko ziyā jaisī
maiñ apne sāmne hotī huuñ ā.īna uThā kar jab
koī laa.e zarā tamsīl merī us adā jaisī
mohabbat chāñd hai aur chāñdnī har-sū luTātī hai
mohabbat hai ġham-o-ālām meñ uThtī sadā jaisī
ajab vahshat-kada sā hai dil-e-maġhmūm ke andar
har ik sūrat hai jis meñ dard kī mujh ko balā jaisī
mohabbat chhoD di hum ne mohabbat thi saza jaisi
usi ko chahte the hum wo chahat thi dua jaisi
ye jo ek zaKHm-e-dil hai ye diya ban kar chamakta hai
ye jo ek Tis hai furqat mein hai mujh ko ziya jaisi
main apne samne hoti hun aaina uTha kar jab
koi lae zara tamsil meri us ada jaisi
mohabbat chand hai aur chandni har-su luTati hai
mohabbat hai gham-o-alam mein uThti sada jaisi
ajab wahshat-kada sa hai dil-e-maghmum ke andar
har ek surat hai jis mein dard ki mujh ko bala jaisi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.