mohabbat dard-o-gham ki tarjuman malum hoti hai
mohabbat dard-o-ġham kī tarjumāñ ma.alūm hotī hai
mirī har aah dil kī dāstāñ ma.alūm hotī hai
hamārī zindagī kī dāstāñ ḳhushbū kā unvāñ thī
magar is daur meñ āh-o-fuġhāñ ma.alūm hotī hai
jahāñ dekho vahīñ maiñ āshiyāñ apnā banātā huuñ
jahāñ girtī huī barq-e-tapāñ ma.alūm hotī hai
ye kis manzil meñ le aayā tajassus dost kā mujh ko
haqīqat bhī jahāñ ik dāstāñ ma.alūm hotī hai
ye aalam hai nigāh-e-shauq kī ab be-sabātī kā
bahār-e-gulshan-e-ālam ḳhizāñ ma.alūm hotī hai
vo chashm-e-pur-fusūñ 'iqbāl' jis ne ġham diye lākhoñ
na pūchho āj-kal kyoñ mehrbāñ ma.alūm hotī hai
mohabbat dard-o-gham ki tarjuman malum hoti hai
meri har aah dil ki dastan malum hoti hai
hamari zindagi ki dastan KHushbu ka unwan thi
magar is daur mein aah-o-fughan malum hoti hai
jahan dekho wahin main aashiyan apna banata hun
jahan girti hui barq-e-tapan malum hoti hai
ye kis manzil mein le aaya tajassus dost ka mujh ko
haqiqat bhi jahan ek dastan malum hoti hai
ye aalam hai nigah-e-shauq ki ab be-sabaati ka
bahaar-e-gulshan-e-alam KHizan malum hoti hai
wo chashm-e-pur-fusun 'iqbaal' jis ne gham diye lakhon
na puchho aaj-kal kyon mehrban malum hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.