mohabbat din-ba-din mail-ba-wahdat hoti jati hai
mohabbat din-ba-din mail-ba-wahdat hoti jati hai
Prem Lal Shifa Dehlvi
MORE BYPrem Lal Shifa Dehlvi
mohabbat din-ba-din mā.il-ba-vahdat hotī jaatī hai
har ik sūrat meñ paidā un kī sūrat hotī jaatī hai
jhukā karte haiñ sar jis par gadāoñ aur shāhoñ ke
usī dar kī gadā.ī apnī qismat hotī jaatī hai
du'ā bhī māñgne par ab to dil raazī nahīñ hotā
tabī'at hai ki pāband-e-mashiyyat hotī jaatī hai
mire mā'būd jitne aa rahe ho paas tum mere
mujhe duniyā ke hangāmoñ se fursat hotī jaatī hai
tumhārī zaat meñ gum ho rahī hai ab mirī hastī
jo chāhat thī kabhī ab vo 'ibādat hotī jaatī hai
nuqūsh-e-mā-sivā ab zindagī se miTte jaate haiñ
hayāt-e-muḳhtasar tum se 'ibārat hotī jaatī hai
salīqa aa gayā hai jab se jiine aur marne kā
do-chand is zindagī kī qadr-o-qīmat hotī jaatī hai
irāda kar liyā hai jab se ham ne tark-e-duniyā kā
jo duniyā bad-numā thī ḳhūb-sūrat hotī jaatī hai
'shifā' jab se bharosa kar liyā hai un kī hikmat par
na kuchh milne pe bhī takmīl-e-hasrat hotī jaatī hai
mohabbat din-ba-din mail-ba-wahdat hoti jati hai
har ek surat mein paida un ki surat hoti jati hai
jhuka karte hain sar jis par gadaon aur shahon ke
usi dar ki gadai apni qismat hoti jati hai
du'a bhi mangne par ab to dil raazi nahin hota
tabi'at hai ki paband-e-mashiyyat hoti jati hai
mere ma'bud jitne aa rahe ho pas tum mere
mujhe duniya ke hangamon se fursat hoti jati hai
tumhaari zat mein gum ho rahi hai ab meri hasti
jo chahat thi kabhi ab wo 'ibaadat hoti jati hai
nuqush-e-ma-siwa ab zindagi se miTte jate hain
hayat-e-muKHtasar tum se 'ibarat hoti jati hai
saliqa aa gaya hai jab se jine aur marne ka
do-chand is zindagi ki qadr-o-qimat hoti jati hai
irada kar liya hai jab se hum ne tark-e-duniya ka
jo duniya bad-numa thi KHub-surat hoti jati hai
'shifa' jab se bharosa kar liya hai un ki hikmat par
na kuchh milne pe bhi takmil-e-hasrat hoti jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.