mohabbat dukhon ki ek dawa hai
mohabbat dukhoñ kī ik davā hai
vagarna zindagī harf-e-duā hai
añdhere kā tanāsub baḌh na jaa.e
koī sūraj zamīñ pe aa girā hai
hamārā haal hai azhar-minashshams
jo sab kā haal hai kis se chhupā hai
dar-e-ka.aba pe bhī pahre biThāo
butoñ kī vāpsī kā marhala hai
shikasta-pā safar kī samt kho kar
musāfir raah meñ tanhā khaḌā hai
dar aa.e jis kā jī chāhe dar aa.e
sadā se dil kā darvāza khulā hai
musalsal aabjū meñ rahte rahte
kañval kā phuul kuchh uktā gayā hai
jahāñ sadiyoñ se hai pyāsoñ kā mela
'shamīm' is bazm kā shohra baḌā hai
mohabbat dukhon ki ek dawa hai
wagarna zindagi harf-e-dua hai
andhere ka tanasub baDh na jae
koi suraj zamin pe aa gira hai
hamara haal hai azhar-minashshams
jo sab ka haal hai kis se chhupa hai
dar-e-kaba pe bhi pahre biThao
buton ki wapsi ka marhala hai
shikasta-pa safar ki samt kho kar
musafir rah mein tanha khaDa hai
dar aae jis ka ji chahe dar aae
sada se dil ka darwaza khula hai
musalsal aabju mein rahte rahte
kanwal ka phul kuchh ukta gaya hai
jahan sadiyon se hai pyason ka mela
'shamim' is bazm ka shohra baDa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.