mohabbat ek jaisi hai wafaen ek jaisi hain
mohabbat ek jaisī hai vafā.eñ ek jaisī haiñ
yahāñ mausam badalne par havā.eñ ek jaisī haiñ
'ajab shahr-e-suḳhan ābād hai merī samā'at meñ
'ajab shahr-e-ḳhamoshāñ hai sadā.eñ ek jaisī haiñ
tirī āñkhoñ meñ āvāzeñ mire hoñToñ pe sannāTā
safar kī dāstāneñ kyā sunā.eñ ek jaisī haiñ
sunā hai us taraf bhī shaam ko lahja mahaktā hai
ḳhafā aapas meñ haiñ lekin du'ā.eñ ek jaisī haiñ
'razī' donoñ ko aksar ḳhauf-e-tanhā.ī satātā hai
'razī' donoñ kī qismat meñ sazā.eñ ek jaisī haiñ
mohabbat ek jaisi hai wafaen ek jaisi hain
yahan mausam badalne par hawaen ek jaisi hain
'ajab shahr-e-suKHan aabaad hai meri sama'at mein
'ajab shahr-e-KHamoshan hai sadaen ek jaisi hain
teri aankhon mein aawazen mere honTon pe sannaTa
safar ki dastanen kya sunaen ek jaisi hain
suna hai us taraf bhi sham ko lahja mahakta hai
KHafa aapas mein hain lekin du'aen ek jaisi hain
'razi' donon ko aksar KHauf-e-tanhai satata hai
'razi' donon ki qismat mein sazaen ek jaisi hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.