mohabbat ek se karke bataunga zamane ko
mohabbat ek se karke bataunga zamane ko
Syed Tahir Husain Tahir
MORE BYSyed Tahir Husain Tahir
mohabbat ek se karke batā.ūñgā zamāne ko
hazāroñ laakh ā.eñge ye sun kar dil lagāne ko
idhar bechain thā vo bhī yahī armāñ batāne ko
mirā dil bhī tarastā thā use apnā banāne ko
tumhāre rūThne kī bhī adā pyārī yahāñ tak ki
baḌī mushkil se maiñ tayyār hotā thā manāne ko
karegī kaam kyā ye vaqt kī tāqat bhī dekheñge
ki sadiyāñ bhī paḌeñgī kam tirī yādeñ manāne ko
ḳhazāne kī mohabbat dil meñ kyā baaqī rahegī ab
lagā rakkhā hai jab dil se mohabbat ke ḳhazāne ko
jahāñ tak yaad hai tum to ḳhushī dene hī aate the
tumhārī yaad phir 'tāhir' kyoñ aatī hai satāne ko
mohabbat ek se karke bataunga zamane ko
hazaron lakh aaenge ye sun kar dil lagane ko
idhar bechain tha wo bhi yahi arman batane ko
mera dil bhi tarasta tha use apna banane ko
tumhaare ruThne ki bhi ada pyari yahan tak ki
baDi mushkil se main tayyar hota tha manane ko
karegi kaam kya ye waqt ki taqat bhi dekhenge
ki sadiyan bhi paDengi kam teri yaaden manane ko
KHazane ki mohabbat dil mein kya baqi rahegi ab
laga rakkha hai jab dil se mohabbat ke KHazane ko
jahan tak yaad hai tum to KHushi dene hi aate the
tumhaari yaad phir 'tahir' kyon aati hai satane ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.