mohabbat ghair-fani hai maraz hai la-dawa mera
mohabbat ghair-fani hai maraz hai la-dawa mera
Abbas Ali Khan Bekhud
MORE BYAbbas Ali Khan Bekhud
mohabbat ġhair-fānī hai maraz hai lā-davā merā
ḳhudā kī zaat baaqī hai mohabbat hai ḳhudā merā
na jiite jī huā hargiz vafā nā-āshnā merā
par us kī dāstāñ ban kar rahā zikr-e-vafā merā
jafā kā terī tālib huuñ vafā hai mudda.ā merā
yaqīn-e-nā-murādī par bhī dekho hausla merā
ye kaisī chheḌ hai kyoñ pūchhte ho mudda.ā-e-dil
hue jab mudda.ī ke tum suno kyuuñ mudda.ā merā
paḌe kyuuñ soch meñ tum qatl karke mehrbāñ mujh ko
vafā kī thī ḳhatā kī thī nahīñ kuchh ḳhūñ-bahā merā
nahīñ ma.alūm kis par aaj phir mashq-e-jafā hogī
ki hai un ke laboñ par aaj phir zikr-e-vafā merā
dil-āzārī kā baa.is ho nahīñ saktī jafā terī
vahī hai nā-murādī par bhī andāz-e-vafā merā
ḳhudā jaane harīm-e-nāz hai kitnī bulandī par
ki guzrīñ muddateñ lekin hai naala nā-rasā merā
mujhe mahshar meñ bhī ummīd kam hai daad paane kī
ḳhudā.ī jab butoñ kī hai to kyā hogā ḳhudā merā
masīhā.ī kā un kī imtihāñ manzūr hai varna
mujhe ma.alūm hai 'beḳhud' maraz hai lā-davā merā
mohabbat ghair-fani hai maraz hai la-dawa mera
KHuda ki zat baqi hai mohabbat hai KHuda mera
na jite ji hua hargiz wafa na-ashna mera
par us ki dastan ban kar raha zikr-e-wafa mera
jafa ka teri talib hun wafa hai muddaa mera
yaqin-e-na-muradi par bhi dekho hausla mera
ye kaisi chheD hai kyon puchhte ho muddaa-e-dil
hue jab muddai ke tum suno kyun muddaa mera
paDe kyun soch mein tum qatl karke mehrban mujh ko
wafa ki thi KHata ki thi nahin kuchh KHun-baha mera
nahin malum kis par aaj phir mashq-e-jafa hogi
ki hai un ke labon par aaj phir zikr-e-wafa mera
dil-azari ka bais ho nahin sakti jafa teri
wahi hai na-muradi par bhi andaz-e-wafa mera
KHuda jaane harim-e-naz hai kitni bulandi par
ki guzrin muddaten lekin hai nala na-rasa mera
mujhe mahshar mein bhi ummid kam hai dad pane ki
KHudai jab buton ki hai to kya hoga KHuda mera
masihai ka un ki imtihan manzur hai warna
mujhe malum hai 'beKHud' maraz hai la-dawa mera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.