mohabbat hai hamein shayad kisi aaina-talat se
mohabbat hai hameñ shāyad kisī ā.īna-tal.at se
misāl-e-ā.ina takte haiñ muñh ik ik kā hairat se
ujālā mere kāshāne meñ hai dāġh-e-mohabbat se
ġharaz ab chāñdnī se hai na sham-e-bazm-e-ishrat se
kabhī āsūdgī dekhī na ham ne bazm-e-hastī meñ
khulī kyoñ haa.e aañkh apnī adam ke ḳhvāb-e-rāhat se
mirī ai be-ḳhudī allāh de umr-e-ḳhizar tujh ko
ḳhajil huuñ maiñ na armāñ se na sharminda huuñ hasrat se
kareñ talvoñ se apne kyoñ judā ḳhār-e-bayābāñ ko
ba-sad-minnat lagā laa.e haiñ un ko dasht-e-ġhurbat se
dil-e-hangāma-zā par ik sukūn-e-yās taarī hai
tamannāoñ kī shorish miT ga.ī ġham-hā-e-furqat se
bujheñge āñsūoñ ke sail se ai ġham tire sho.ale
jahannum sard ho jaatī hai jaise āb-e-rahmat se
uThī chilman huā husn-e-pur-āshob us kā be-parda
magar maiñ rah gayā majbūr in āñkhoñ kī hairat se
'valī' phir ik ġhazal paḌh de badal kar bahr mahfil meñ
tire ash.ār ko sunte haiñ ham gosh-e-mohabbat se
mohabbat hai hamein shayad kisi aaina-talat se
misal-e-aina takte hain munh ek ek ka hairat se
ujala mere kashane mein hai dagh-e-mohabbat se
gharaz ab chandni se hai na sham-e-bazm-e-ishrat se
kabhi aasudgi dekhi na hum ne bazm-e-hasti mein
khuli kyon hae aankh apni adam ke KHwab-e-rahat se
meri ai be-KHudi allah de umr-e-KHizar tujh ko
KHajil hun main na arman se na sharminda hun hasrat se
karen talwon se apne kyon juda KHar-e-bayaban ko
ba-sad-minnat laga lae hain un ko dasht-e-ghurbat se
dil-e-hangama-za par ek sukun-e-yas tari hai
tamannaon ki shorish miT gai gham-ha-e-furqat se
bujhenge aansuon ke sail se ai gham tere shoale
jahannum sard ho jati hai jaise aab-e-rahmat se
uThi chilman hua husn-e-pur-ashob us ka be-parda
magar main rah gaya majbur in aankhon ki hairat se
'wali' phir ek ghazal paDh de badal kar bahr mahfil mein
tere ashaar ko sunte hain hum gosh-e-mohabbat se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.