mohabbat hai magar dhoka nahin hai
mohabbat hai magar dhokā nahīñ hai
ye is sayyāre kā qissa nahīñ hai
kahīñ dariyā kahīñ sahrā nahīñ hai
har ik raste meñ ik rasta nahīñ hai
use maiñ kyoñ pukāre jā rahā huuñ
vahī to hai jo kuchh suntā nahīñ hai
jise chāhe jahāñ pahuñchā ke rakh de
muqaddar par koī pahra nahīñ hai
yahāñ haiñ saiñkaḌoñ hamnām mere
magar koī mire jaisā nahīñ hai
jo ham tak aa rahā hai tere ghar se
yahī ik rāsta sīdhā nahīñ hai
dalīloñ ke sahāre jiine vaale
tirī dīvāngī meñ kyā nahīñ hai
mohabbat hai magar dhoka nahin hai
ye is sayyare ka qissa nahin hai
kahin dariya kahin sahra nahin hai
har ek raste mein ek rasta nahin hai
use main kyon pukare ja raha hun
wahi to hai jo kuchh sunta nahin hai
jise chahe jahan pahuncha ke rakh de
muqaddar par koi pahra nahin hai
yahan hain sainkaDon hamnam mere
magar koi mere jaisa nahin hai
jo hum tak aa raha hai tere ghar se
yahi ek rasta sidha nahin hai
dalilon ke sahaare jine wale
teri diwangi mein kya nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.