mohabbat hai na zauq-e-arzu hai
mohabbat hai na zauq-e-ārzū hai
hayāt ab kis qadar be-rang-o-bū hai
tasavvur meñ nahīñ jalva kisī kā
nazar meñ hai na koī rū-barū hai
kabhī Darte the jis ke vahm se bhī
vahī manzar nazar meñ hū-bahū hai
fazā sunsān hai aur hū kā 'ālam
añdherā aur vahshat chār-sū hai
nahīñ vo raunaq-e-sehn-e-gulistāñ
bahāroñ meñ na vo josh-e-numū hai
girāñ sī hai nazar ko sair-e-ālam
kamī har shai meñ goyā kū-bakū hai
umangeñ haiñ na vo ab valvale haiñ
na shauq-e-sa'ī-o-zauq-e-justujū hai
miTā jab dil se ehsās-e-mohabbat
ḳhushī bhī ġham hai ik tauq-e-gulū hai
kisī kī kaj-nigāhī kā gila kyā
zamāne kī yahī fitrat hai ḳhū hai
ba-īñ-kaifiyyat-e-sad-huzn-o-hasrat
nazar meñ aaj bhī bas tū hī tū hai
mohabbat hai na zauq-e-arzu hai
hayat ab kis qadar be-rang-o-bu hai
tasawwur mein nahin jalwa kisi ka
nazar mein hai na koi ru-baru hai
kabhi Darte the jis ke wahm se bhi
wahi manzar nazar mein hu-bahu hai
faza sunsan hai aur hu ka 'alam
andhera aur wahshat chaar-su hai
nahin wo raunaq-e-sehn-e-gulistan
bahaaron mein na wo josh-e-numu hai
giran si hai nazar ko sair-e-alam
kami har shai mein goya ku-baku hai
umangen hain na wo ab walwale hain
na shauq-e-sa'i-o-zauq-e-justuju hai
miTa jab dil se ehsas-e-mohabbat
KHushi bhi gham hai ek tauq-e-gulu hai
kisi ki kaj-nigahi ka gila kya
zamane ki yahi fitrat hai KHu hai
ba-in-kaifiyyat-e-sad-huzn-o-hasrat
nazar mein aaj bhi bas tu hi tu hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.